@рднाрд░рдд рдХी рдмेрд░ोрдЬрдЧाрд░ी @
Aaj sampurn duniya janti hai ki bhart vishv ka sabse adhik yuwao ka desh kahlata hai. aisa isliy kaha jata hai kyoki bhart ki jansankhya me kriyashil manav ya yuwa jansankhya ka aakda sabse adhik hai. 2011 ki janganna ke anusar ''bhart me yuwao ki jansankhya 42.2 karod aaki gai hai. bhart ki isi yuwa -sakti ko bhart ka future kaha jata hai,kyoki yahi future me bhart ke vikas me sahayak hai. isi yuwao se aasha ki jati hai ki yh future me bhart ko ek chram suviksit seema me pahuchay. Aksar aapne suna hoga ki kisi desh ke vikas me ya unnti me waha ki yuwa sakti ka ek mahatvpurn hath hota hai.lekin yuwa jansankhya tabhi mahtavpurn mani jati hai,jb inke pass rojgar ho. Agar bhart ke in sabhi yuwao ko rojgar mil gaya to bhart ka vikas mumkin hai,lekin dukh ki bat yh hai ki bhart berojgari ki samsya se grashit hai.bhart ke future kahlane wale adhiktar yuwak berojgar hai,unke pass koi rojgar nahi hai. Bhart me is berojgari hone ke jo kar