@भारत की बेरोजगारी @


Aaj sampurn duniya janti hai ki bhart vishv ka sabse adhik yuwao ka desh kahlata hai. aisa isliy kaha jata hai kyoki bhart ki jansankhya me  kriyashil manav ya yuwa jansankhya ka aakda sabse adhik hai.

                       2011 ki janganna ke anusar ''bhart me yuwao ki jansankhya 42.2 karod aaki gai hai. bhart ki isi yuwa -sakti ko bhart ka future  kaha jata hai,kyoki yahi future me bhart ke vikas me sahayak hai. 
isi yuwao se aasha ki jati hai ki yh future me bhart ko ek chram suviksit seema me pahuchay.
       Aksar aapne suna hoga ki kisi desh ke vikas me ya unnti me waha ki yuwa sakti ka ek mahatvpurn hath hota hai.lekin yuwa jansankhya tabhi mahtavpurn mani jati hai,jb inke pass rojgar ho.
 Agar bhart ke in sabhi yuwao ko rojgar mil gaya to bhart ka vikas mumkin hai,lekin dukh ki bat yh hai ki bhart berojgari ki samsya se grashit hai.bhart ke future kahlane wale adhiktar yuwak berojgar hai,unke pass koi rojgar nahi hai.
Bhart  me is berojgari hone ke jo karn hai wh kai sare hai,lekin inme se do karn aise hai,agar inme sudhar ho gaya to yh mumkin hai ki bhart ki berojgari kuch had tak km ho sakti hai aur baki ki jo pareshaniya hai kuch had tk samapt ho sakti hai,lekin yh btane se pahle hum aapko wo do karn btana chahte hai jo is berojgari ke mahtavpurn karn hai,aur jo in sudharo se sambandhit hai=
                     1.Apne carrier ki umr me adhikansh yuwko ka dhyan apne carrier bnane me n hokar manoranjan aur sukh- suvidha me adhik samay gujrne me hota hai.
                                   aise yuwak apni padhai me dhyan n dete huy apne carrire pr focus nahi krte hai.is wajah se inki skill aur carrire down ho jata hai. jo aage chlkar berojgari ka karn bnta hai.
                        jis karn bhart ki berojgari badhti chli ja rahi hai.
2. Bhart sarkar ki nakamyabi=bhart me jo rikt bhartiya niklati hai,unme se kai rikt bhartiya froad hoti hai,aur adhikansh yuwak in froad bhartiyo me paise lgakar apna aavedan kr dete hai, aur bad me in yuwko ko pata chlta hai ki wo rikt bhartiya froad thi,is ghatna ki wajah se kai yuwak best rikt bhartiyo ko bhi froad mankar inme aavedan nahi karte hai.
  •           Bhart me berojgari hone pr sarkar ki yh na-kamyabi nazar aati hai ki sarkar jin rikt bhartiyo ke exam karwati hai,to sarkar in examo ke result bde vilamb se jari karti hai,jisse adhikansh yuwak apne rojgar ki umr ke hisab se sarkari nokri prapt nahi kr pate hai,aur berojgar ho jate hai.
                                     

   Bad me isi berojgari ka asar bhart ke vikas pr padta hai.

                      Ab hum aapko un sudharo ke bare ke btana chahte hai,jinhe apna kr bhart ki berojgari km ho sakti hai=;
  • Bhart ke adhiktar yuwa aese hai,jinhe apne carrier ki koi chinta nahi hai. Iska karn mata-pita ki amiri ya jis pariwar me paiso ki kami nahi hoti hai,to aese pariwar ke bachche ya yuwak isi vishesta ko dekhte huy apne carrier pr km dhyan dete hai.
                                                                              Aese hi adhiktar yuwa apna adhikansh samay manoranjan,sukh-suvidha ke sadhno aur faltu me apne dosto ke sath idhar-udhar ghumne me bita dete hai.
     Ab aap hi btaiy ki kya aese yuwak rojgar hasil kr sakte hai?
 Wo kahte hai na ki insan ke jivan me hr chij ki umr hoti hai-shiksha ko chhodkar.
                              Jab bachcha balik hota hai, tb wh padhne ke sath-sath khelkud bhi krta hai,lekin seniar pass ho jane ke bad us yuwak ki carrier ki umr aa jati hai.
                                             Is carrier ki umr ka mtlab yh hai ki yuwak ka adhikansh dhyan apne carrier ko prapt karne me hota hai,aur khelkud ka area gon ho jata hai.
                                                 Jab hamari khelne ki umr thi,tb hamne aanand se is samay ko khelne me bitaya,thik usi tarah hi jb carrier ki umr aa jati hai,tb yuwak ka lakshay apne carrier bnane me hona chahiy na ki manoranjan karne me.
                                                             Yh ek aesa samay hai jo ek bar jane ke bad dobara nahi aata hai. hum yh nahi kahte ki manoranjan mt karo,blki itna hi manoranjan karo,jisse aapke carrier me koi samasya n aaye.
                                 

  Agar in yuwao ko rojgr pana hai to inhe apne carrier me khub mehnat karni hogi aur apne carrier pr focus karna hoga. tb jakar in yuwao ki skills viksit hogi aur inhe rojgar ki prapti hogi.

                Bhart ke in yuwao ko yh sudhar manna hi hoga taki bhart ki berojgari dur ho sake. 
@BHART SARKAR KI PAHAL=;
                                                         Aaj yh bat bilkul sahi hai ki bhart me abhi bhi kai sare pd rikt hai. Agar bhart sarkar ko berojgari dur karni hai to, in rikt pdo ki bhartiya yuwako ke samne pesh karni hogi, taki hr bhartiy yuwak jan sake ki konse pd rikt hai,aur hme kis shreni me apna aavedan karna hai.
                                             Bhart sarkar jo rikt bhartiya nikalta hai,un sabhi ki purn jankari bhartiy yuwako ko deni chahiy,taki bhartiy yuwak bina sandeh kiy apna aavedan kr sake.
Bhart sarkar jo rikt bhartiya nikalti hai to bhart sarkar dwara bhart ke in yuwao ka dhyan in rikt pdo ki aur aakrashit krana chahiy taki bhartiy yuwak inse aakrashit hokar rojgar pane ki rah pr chal sake.
                      Agar bhart me yh do sudhar ho gay to bhart kamyabi aur badh sakta hai,aur bhart ki berojgari kuchh hd tk km ho sakti hai. yh do wh sudhar hai jisme bhartiy yuwako aur bhart sarkar ka jikr kiya gaya hai.
                                          Bhartiy yuwako aur sarkar ko in sudharo pr amal karna chahiy taki bhart ki dasha  is shreni me sudhar ho sake.

Berojgari ek aesi samasya hai jo sirf yuwao se hi hl ho sakti hai. Isliy bhart sarkar ne pratek yuwao ko rojgar ki rah pr pahuchane ke liy ek aesi yojna ki shuruaat ki hai,jisse bhart ki berojgari dur hona swabhavik hai.                    
                        Hamare bhart ke aadarniy P.M. SHREE NARENDR MODI JI ne bhart ki berojgari dur karne ke liy ek aesi pahal ki hai, jo wakai me sahi sabit ho rahi hai.
                                              Hum bat kr rahe hai PRADHAN MANTRI KAUSHAL VIKAS YOJNA ki jise PMKVY bhi kahte hai.
                                     Khaskar is yojna ka labh un yuwao ko ho raha hai, jo apni garibi ke karn apni padhai bich me hi chhod dete hai,aur aage chalkar yahi yuwak shramik ya berojgari ki shreni me aa jate hai,lekin ab aesa nahi hoga, kyoki PMKVY ke dwara ab in yuwao ko nishulk shiksha di ja rahi rahi hai.
                                                      Ek aesi shiksha jo inke bhitar bse huy kausal ko bahar khichkar lati hai, aur is kausal ko majbuti pradan karti hai. jis majbuti ki niv pr yh apna mukam hashil karte hai,ek aesa mukam jise todna na-mumkin hai.
Add caption
                  Is PMKVY ki shuruaat year 2015 ko ki gai thi.

        Is yojna ke tahat 2020 tk 42 karod yuwao ko nishulk shiksha dilane ki yojna banai gai thi
                  Iska mukhay uddeshay bhart desh me sabhi yuwa warg ko sangathit karke unke kausal ko nikhar kr unki yogayta-anusar rojgar dena hai.
                     Khushi ki bat yh hai ki is yojna ke antargat pahle year me 24 lakh yuwao ko shamil kiya gaya,iske bad year 2020 tk yh sankhya 40.2 karod le jane ki yojna hai.
                          Is yojna ki khas bat yh hai ki jo yuwak is yojna ke dwara apne kausal ko prapt karke agar apne khud ka aarthik shetr suru karna chahta hai,lekin iske pas  itne paise nahi hai ki wo apne khud ka rojgar shuru kr sake, Isliy bhart sarkar ne aese yuwako ko lon ki suvidha di hai,jiske madhyam se yh yuwak apne khud ka rojgar shuru kr sakta hai.
                                     Aaj ke is yug me BHART SARKAR ne yh yojna lagu karke ek pahal kayam ki hai. lkin is pahal ke lagu  hone se kam nahi chlega blki bhart ke pratek yuwa ko is pahal namak rah pr apna kadam aage rakhna hoga aur apne kausal ke dm pr rojgar hashil karna hoga, tb jakar hi is yojna ka labh hoga aur bhart ki berogari ki samasya ka ant hoga.

                                              agar bhart sach me berojgari samasya ko hl arna chahta hai to hr bhartiy yuwak ko ek jimmedar aur jagruk nagrik banna hoga aur manoranjan,sukh
-suvidha ke sadhno pr lgam lagakar apne carrier pr adhik dhyan dena hoga.
                                       

         yh hr bhartiy yuwak ka ek  kartavay hai,jise nibhana hi hoga kyoki yh berojgari ki samsaya bhartiy yuwako se hi hl ho sakti hai. 

                                       
                                                      
                                      @JAI HIND                  
                                    JAI BHART @
                                                                                  


    टिप्पणियाँ

    इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

    @2022 का युग फिर भी दहेज प्रथा@

    @बुढ़ापे का सहारा संताने या बचत??@@

    Psychology of human mind