@बुढ़ापे का सहारा संताने या बचत??@@




Hello  dosto!
                   aaj hm aapko  ek aesi samsya se rubaru karwayenge, jiske bare me janna  aur sabak lena aapke liy bahut  jaruri hai. 
                                     aaj hamare bharat desh me  adhikans aese bujurg rahte hai jo ya to apne jivanyapan ke liy  majduri ya work krte hai  ya apni santano pr nirbhr hai.  aaj jis sharir ko  aaram krne ki jarurat hai, wahi sharir aaj  apne jivan-yapan ke liy  work karne pr majbur ho gaya hai. bujurgo ki yh samsya lgatar  bharat me badhti chli ja rahi hai.
                                                  NATIONAL SAMPAL SERVE OFFICE ki report ke mutabik gramin shetro me rahne  wale 60 sal ke umr se jyada ke 73% bujurg apne bachcho pr nirbhr hai, blki shahri shetro me  apne bachcho pr nirbhr bujurgo ki sankhya karib 68% hai.
                                             bharat ki sabse badi samsya yh bhi hai ki yaha ki 80% aabadi ger sangthit shetro me work krti hai. Bharat ke in bujurgo ki dasha itni khrab kyo hai? iske pichhe kya karn hai ki  bujurg hone pr bhi inhe work karna pd raha hai, yh karn janna aapke liy bahut jaruri hai, kyoki future me aapki bhi aesi situation ho sakti hai to aaiy jante hai-Bharat ke adhikansh log yh soch rakhte hai ki hme future ki chinta nahi krni chahiy aur vartman me  khush rahna chahiy, aur log yh bhi mante hai ki  future ke bare me sochkar hme apna vartman samay nast nahi krna chahiy, lekin aapko bta de ki yh soch sampurn tarike se thik nahi hai, blki yh ek laparwah soch hai.
                                                                                Vartman samay me dubkar future ko nazar-andaj krna hi in logo ki  sabse badi galti hai. isi soch ke karn hr mata-pita apni sari kamai apne pariwar ki jarurato, bachcho ki shiksha me  aur inki jarurato me  kharch kr dete hai aur rahi bachat ki bat to yh mante hai ki  hamara future hamari bachat nahi blki hamari santane hai.
                                                          Hm apni santano ko  khub padhayenge, unki hr jarurato ko pura karenge, taki yh future me hamara aur khud ka palan-poshan achche  se kr sake. hamari santane hi  hamara future hai, isliy hme bachat krne ki  koi jarurat nahi hai. Aur jb in mata-pitao ka future varatman bnta hai to inke sare hosale tut jate hai,inhe apni santano se  jis chij ki ummid thi  ve ummide ab kalpna bn chuki hoti hai aur rahi bachat ki bat to inka future bachat  nahi hokar  inki santane thi, jo inhe  ab besahara chhodkar chali gai hai.
                                                      yh wo sachchai hai jis karan bharat ke  bujurgo ko majduri ke siwa  aur koi sahara  nazar nahi aata hai aur ab yh bujrg mante hai ki agar atit me  hmne kuchbachat kr li hoti to aaj hme  majduri ya work nahi krna padta aur is waqt  yh bachat hmare sahare ke rup me kam aa rahi hoti.
             Bachat nahi krne ki wajah se hi  aaj bharat ke adhikansh bujurg apne jivan- yapan ke liy hard- work krte hai aur apna jaise-taise jivan bita rahe hai. Hm mante hai ki hr mata-pita ko  apne pariwar ki jarurato ko pura  krne, apni santano ko  uchch shiksha aur inki hr jarurat  puri krna  hr mata-pita ka farj hai, lekin is farj ko  nibhane ke sath-sath apne khud ka future plan ya kahe bachat krna bhi  aapke liy bahut jaruri hai, taki aapke bujurg hone  ke bad apne santan pr nirbhr nahi hona pade aur future me  aapko majduri ya hard work nahi krna pade. Agar aap fir bhi apne future ke liy bachat nahi krte hai to iska natiza hm aapko pahle hi bta chuke  hai.
                                                             RESERVE BANK OF INDIA ki ek report ke mutabik bharat ke sirf  13% log hi apne ritairment ke liy  bachat krte hai, jbki 10%  log apni ritarment ki planing hi kr pate hai,lekin jamini star pr koi bda nivesh nahi krte jbki bharat ke 77% log apne ritairment ke bare me sochte tk nahi, ho sakta hai ki aap bhi un logo me se ek ho.
                                     Apne ritairment ke  bare me teyari nahi karne  ki wajah se  60 sal ki umr ho jane ke bad  bhi 50% bujurgo ko kam krna padta hai.  Is  umr me aksar log  ya bujurg  aaram ki jindagi jina pasand krte hai, lekin dukh ki bat yh  hai ki apne jivan yapan ke liy  unhe kam krna pd raha hai.
                                              Yh aakde aapko yh batate hai ki bharat me badi sankhya me  log apni  niji aarthik sehat ko daw pr lgakr pura jivan  jine ki koshish krte hai. aaj in bujurgo ko paintion to milti hai lekin  usse ek achcha gujara  nahi chl pata hai aur yh bujurg paintion se aatm-nirbharta mahsus nahi kr pate hai. Isliy aaj bharat ke hr aadmi ko aatm-nirbhr banne ki jarurat hai aur yh bhi samjhne ki jarurat hai ki hme future ki planing  krni chahiy  aur bachat krne ko badhawa dena chahiy, taki future me aapko kisi ke samne  hath nahi felana pade.
                                                      Waqt kabhi kahkar nahi aata isliy hme achche aur bure waqt dono ke liy  kuch jodna bhi jaruri hai Agar aapke pas kuch paise hai to aap hr situation me  aarthik rup se nishchit aur aatm- nirbhar rh sakte hai, jisse aap me  dheray aur vishwas  bna rahta hai aur aap kisi bhi  jimmedari ko behtar tarike se nibha sakte hai. 
                Aaj hm aapko ek aese formule ke bare me batayenge jisse aap behtar tarike se  bachat kr sakte hai. wo formula hai-50:30:20 formula.
                    Tax chukane ke bad apni kamai ka 50% hissa apni jarurato PR kharch kijiy, iske bad 30% hissa apni ichchhao PR kharch kijiy aur baki ka 20%  hissa apni bachat me lgaiy.
             Is tarah aap achche tarike se bachat kr payenge,to hm aaj se hi yh sapath lete hai ki hm aaj se hi bachat krna suru karenge,taki hme vradha-vastha me kisi ke sahare, yaha tk ki apni santan PR bhi nirbhar nahi hona pade aur na hi hard work krna pade.
             Agar hm aaj se future ki planing  krna suru kr denge, to hmara aane Wala Kal "Ek behtarin" rup SE samne aayga aur hm budhape me ek 'nichchit' aur 'aatm-nirbhar'  jivan bita payenge aur is tarah BHARAT KE BUJURGO ki problem bhi hl ho jaygi.
         
                             JAI-HIND
                          JAI-BHARAT

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

@2022 का युग फिर भी दहेज प्रथा@

@भारत की स्थिति@