@भारत की स्थिति@




                         

  Hello
 dosto               aap sabhi ka fir SE hmare blog pr swagt hai. bhart aazad hone ke bad bhartiy janta ko yh lga ki ab hmari sari samasyay smapt ho jaygi,hmara jivan sukhmay ho jayga, lekin aisa nahi hua kyoki bhart Kai samsyao SE ghir gya tha jaise; rishvatkhori,bhrstachar, garibi, berojgari,gandi bastiyo ki badhotari aadi Kai samsyay samne aai.
hum aapko bhart ki us situation ke bare me btayge jo ek sachchai hai ek hkikat hai. 
             Is situation  ko btane ke liy hum aapke samne ek Interesting story rkh rhe hai jiske madhyam se hum aapko btaynge ki bhart ka kya Hal hai.IS STORY KA IEKHK ME KHUD HU.                   
                                          Is interesting story ka Nam hai bapuji ki aatma. Yh ek kalpnik story hai,magar is kahani me ghatnao ke madhyam SE Jo btaya gya hai wh aikdm Sach hai, ythart hai.
Hum start karte hai;;
                                      "Aadr Nakastr ka Kal tha,varsha ka mosam start ho Jane SE Akash me kale kale badal umad ghumad rhe the,aur unki gambhir garjna bhi ho Rahi thi ,purv disha ek savch aur badlo SE rahit sthan SE surtoday ho rha tha.
                            Varun apni balkani SE sury ke Lal Lal prakash drasy ko aktk dekh rha rha. Use yh drasy manmohit kar leta hai.
                   Varun sarkari mahavidhalay SE open me BA adhyanrt hai. Mahine me ek do bar college chla jata hai,baki dino me wh ek praivet school me pdhane chla jata hai, 
                   Do sal pahle Varun ka pariwar sadak durghtna me Mr jata hai, unme SE sirf Varun hi bch pata hai
               Varun apne Nana-nani ke Ghar rahta hai, Varun bhi apne Nana-nani ke budhape ki lathi
 bankr unki hr prakar SE help karta tha. 
                  Varun bahut samjhdar aur ek dayalu ladka hai.  Wh mahatma Gandhi ji ke vicharo aur unke btay raste pr chlta tha.
              Varun me aisi khasiyat thi ki uske mukh SE keval kam ki bate hi niklti thi. Varun apni balkani SE apne room me chla jata hai. Aaj wh bachcho ko pdhane nahi jayga kyoki aaj Sunday hai. Is suhawane mosam meVarun bahr ghumne chla jata hai, raste me use apna dost tinku mil jata hai.
                Dono aapas me bate karte-karte chlte rahte hai ki Varun dekhta hai ki kuchh bachche bujurg mnushay ko pareshan kr rhe hai, Varun un bachcho ke pas jakr unhe samjhata hai ki bdo ko satana glt bat hoti hai, unki hmesha izzat karni chahiy. 
                    Bachche us bujurg SE mafi mangkr Varun SE wada karte hai ki ab hum hmesha bdo ka samman krege, unka anadar nahi krege. Bachche yh kahkar khelne chle jate hai.
                                    Tinku, Varun SE kahta hai  ki dost tum bahut samjhdar ho, tum sabhi ka dukh aasani SE samjh lete ho.
           Varun kahta hai ki yh to ek swabhavik bat hai ki 'agar hmare samne kuch glt kam ho raha ho to use rokna her bhartiy ka kartvay hai.
             Tinku waha SE apne Ghar chla jata hai. Varun bhi ek mandir ke pas rakhi ek bench pr Beth jata hai, wh bench thik mandir ke samne thi. 
                    Varun mandir SE aate-jate insano ko dekh raha tha ki uski Nazar mandir ke bahar bhikh mang rahe bachcho pr padti hai. Mandir me aane-jane wale sabhi unko bhik dene ke bjay unhe dutkar rahe the, lekin bachcho ki bhuk unhe bar-bar bhik mangne pr majbur kr rahi thi.
                                                     is drashay ko dekhkar varun dukhi ho jata hai  varun ki aankho ke samne jo drashay tha,  wh saf-saf bta raha tha ki hamari sarkar abhi bhi bahut pichhe hai.



JIN bachcho ke hato me kitab-kalm honi chahiy ,wahi hath logo se bhik mangne ki aur bdh rahe hai, yh kaha ka vikas hai.aise drashay ko dekhkar lg raha tha ki abhi bhi bhart bahut pichhe hai, yh sachchai hai hakikat hai jisko hum nazar andaj nahi kar sakte.
                varun un bachcho ko dukan pr le jata hai,aur waha se biskit lekar un bachcho ke hatho me thma deta hai. bachche biskit pakar bahut khush ho jate hai.
         varun unke chehare ki khushi dekhkar ek trf unki durdsha nazar aa rahi thi to dusri aur unki muskan bhre chehare dekhkar bahut khushi bhi ho rahi thi.
             mano aisa lg raha tha ki sagar se use ek aisi chij mil gai ho,jo moti se bhi adhik kimti ho.
                                            yh bachche varun ke pas hi beth jate hai,aur jldi-jldi biskit khane lg jate hai.   samaj ki yh burai dekhkar use sarkar ki nakamyabi nazar aati hai, varun waha khda-khda yh pran kar leta hai ki wo is prakar ki buraio ko samapt karke hi rahega. wh IAS banne ka faisla kr leta hai.
         VARUN ki aankho me josh aur utshah nazar aata hai.
                                                                                   ghar jakar wh apne room ki aur bdh raha tha ki use apne room me kuchh khat- khat ki aawaj aati hai.  varun dhire dhire apne room ka darwaja kholta hai,aur wh dekhta hai ki room me kursi pr koi betha hai. varun chuchap dbe pair uski  aur niharta hai,tbhi waha se aawaj aati hai-''HAI RAM'' 
                             YH SABD SUNKAR VARUN KUCHH BOKHLA JATA HAI, AUR WAHA SE FIR DOBARA AAWAJ AATI HAI- VARUN DARO MAT!      IS AAWAJ ME KUCH LADAKPAN AUR PYAR BHRI MITHAS THI.
                   VARUN NE AAWAJ KO PHCHAN TO LIYA,LEKIN AASHCHARY BHI THA, YH KAISE HO SAKTA HAI , VISHWASH NAHI HOTA.
                                                  VRUN DHIRE-DHIRE US AAWAJ KI AUR BADHTA JATA HAI,TB HI BAPU KHDE HOKAR VARUN KE SAMMUKH KHDE HO JATE HAI,VARUN KE CHEHARE PR DO BATE NAZAR AA RAHI THI,EK TRF VARUN KO DAR SA MAHSUSH HO RAHA THA TO DUSARI AUR BAPU KO DEKHKAR KHUSHI BHI HO RAHI THI.
                         DONO EK-DUSARE KE SAMMUKH BETH JATE HAI, VARUN KE MN ME KAI SAWAL UMAD RAHE THE ,LEKIN PUCHH KI HIMMAT NAHI KR PA RAHA THA.
                            USE PATA THA KI WH EK AATMA SE BAT KR RAHA HAI. BAPUJI KAHTE HAI KI VARUN BETA MUJHSE DARNE KI KOI JARURAT NAHI HAI, MUJHE KHUSHI HAI KI TUM MERE BTAY GAY RASTE PR CHLTE HO.
            ME TUMSE TO APNE BHART KE BARE ME JANNE KE LIY AAYA THA,KYA TUM BTAOGE MERE BHART KE BARE ME?
                         VARUN NE KAHA JARUR BTAUGA, VESE AAP KYA JANNA CHAHTE HO.    BAPUJI PUCHHTE HAI KI AAZADI KE SAMAY ME ,ME HAR JATI KE LOGO KO AIKTA KE SUTR ME PIROKAR GYA THA,AB BHI AISA HI HAI NA?
                                     YH SUNKAR VARUN KE CHEHRE PR HSHI AA JATI HAI, AUR KAHTA HAI KI AAPKA MTLB SARI JANTA JATI-PATI, UCH-NICH SB BHULAKAR AIKTA ME RAHTI HAI, LEKIN AISA NAHI HAI, AAJ BHI SHAHRO-GAWO ME JATI- BHEDH JARI HAI.
                                                      BAPUJI, VARUN KI BATO KO SUNKAR KHAMOSH HO JATE HAI. UNKE JHURRIYO BHRE CHEHRE AUR GOL CHSHMA LGAY CHEHARE PR WH DUKH NAZAR AA RAHA THA.JIS DUKH KE BARE ME UNHE KALPNA BHI NAHI THI.
                                                      VARUN KAHTA HAI KI JANTA KO APNE ATIT KA TO GYAN TO HAI,UNME RASHTRIY BHAWNA BHI HAI,LEKIN AB JANTA KA UDDESHAY SIRF PAISA KMANE TK HI RAH GYA HAI, SABHI APNE SWARTHO ME LGE HUY HAI.
                          BAPUJI KAHTE HAI KI ''APNE BARE ME SOCHNA BHI CHAHIY LEKIN ITNA BHI NAHI SOCHNA CHAHIY  KI DUSRO KO DOKHA DENA PDE, JISSE DUSRO KO HANI PAHUCHE, AISA KARY NAHI KARNA CHAHIY.
                            TB HI BAPUJI KO AKHBAR DIKHTA HAI, WH USKI AUR BADHTE HAI, AKHBAR KO HATH ME LEKAR PDHNE LG JATE HAI . US AKHBAR KI HR HEADLINE PR CHOR DAKETI, KALABAZARI, RISHWAT- KHORI, BEROJGARI,MAHANGAI, GARIBI,PKSH-VIPKSH ME DARAR,RAJNITI ME HOD JARI RAHNA AADI BURAIO KO DEKHKAR BAPUJI FIR SHOK MGN HO JATE HAI.
                                                                        BAPUJI BHART KE BARE ME KYA PUCHHTE VARUN SE ,SB SWALO KE JWAB TO IS AKHBAR SE HI MIL CHUKE THE.                                                                     BAPUJI, VARUN SE PUCHHTE HAI  KI IS AKHBAR ME JO KUCH  BHI LIKHA HUA HAI WH SB SAHI HAI KYA.    
HA BAPUJI!, VARUN KAHTA HAI. BAPUJI BOLTE HAI KI VARUN EK BAT BTAOGE, JB ME IS DUNIYA ME THA TB SARI BHARTIY JANTA MERE SATH THI. SARI BHARTIY JANTA AAZADI KE DIN BHART KA GOARAV GAN KR RAHI THI,LEKIN MERE JANE KE BAD AISA KYA HUA KI SB ITNA BADL GAYA. 
                                         VARUN BOLTA HAI KI AAPNE BHART KI JANTA KO EKJUT KARKE''BHARTIY SWATANTRTA SANGRAM''  KA BIGUL BJAYA THA. US SAMAY JANTA NE APNI RASHTRIY BHAWNA DIKHAKR AAPKA SATH DIYA, KYOKI JANTA NE APNE DO UDDESHAY BNA LIY THE.
                                                    EK UDDESHAY TO YH THA KI BHART KI BHUMI PR SIRF BHARTIYO KA HI ADHIKAR HAI,ISLIY ANGREJO KO YAHA SE JANA HOGA.                                                 AUR DUSRA UDDESHAY YH THA KI AGAR BHART AAZAD HO JAYGA TO BHART KI GARIB JANTA KA DUKH SAMAPT HO JAYGA, SABHI KO ROJGAR MILEGA,  LEKIN AISA NAHI HUA, JANTA KE SARE SAPNE SIRF SAPNE BNKR HI RH GAY.
                                          BLKI AAMJAN KA JIVAN AUR  BHI DUBHR HO GYA.  BAPUJI KAHTE HAI KI'ME JIS SAMAJ KI KALPNA LEKAR TUMHARE PAS AAYA THA,WH KALPNA TO SIRF SAPNA BNKR HI RH GYA.
                                                         AAJ JANTA JIS PARESHANI SE GUJAR RAHI HAI, UN SB KA KARN DO HAI-EK,PRASHASHN ME UTHL-PUTHL,PKSH-VIPKSH ME DARAR AUR DUSRA KARN' JANTA DWARA GLT HATHO ME VOTE DALNA'.
                                     BHART KE LOGO NE TO GANTANTR KI PARIBHASHA KO HI PLT DIYA HAI. AAGE BAPUJI KAHTE HAI KI MERE LIY GANTANTR KA MTLB HAI KI ''SABSE KAMJOR INSHAN KO BHI UTNE HI AVSAR MILNE CHAHIY,JITNE KI SABSE TAQATWAR INSHAN KO MILTE HAI''
        HA, BAPUJI AAPNE BILKUL THIK KAHA, VARUN BOLTA HAI. VARUN KAHTA HAI KI RAJGOPALCHARI JI KE VICHAR BHI YAHI KAHTE HAI KI''SASHAKT SARKAR AUR DESH BHAKT JANTA SE EK UTKRASHT RAJY BANTA HAI,LEKIN BAHARI SARKAR AUR GUNGE LOGO SE LOKTANTR KA NIRMAN NAHI HO SAKTA''
            THIK KAHA VARUN BETA, BAPUJI KAHTE HAI KI DESH KO AISE INSHAN KI JARURAT HAI,JO YATHARTH KO DEKHNE KI SHAMTA RAKHTA HO,JO YATHART ME WYAPT SAMSHYAO KO  HL KARNE KA HOSHLA RAHTA HO. RAJNITI ME AISE HI INSANO KE KADAM HONE CHAHIY, TB JAKAR JANTA KE DUKH DUR HONGE.
                                                    VARUN KAHTA HAI KI''AAJ KI RAJNITI ME JO PKSH-VIPKSH HAI,UNKO DEKHKAR AISA LAGTA HAI KI DONO ME DOD KI PRATIYOGITA  HO,AUR IS DOD ME BHI INKA BHAGNE ME DHYAN NAHI HAI BLKI AAPAS ME EK DUSRE KO GIRANE ME LGE HUY HAI.
                                                    BAPUJI AAPKO BTA DU KI''DESH KA VIKAS TB HI MUMKIN HAI JB RAJNITI ME EK-DUSRE KE PRATI AIKTA HOGI.
                                                            AB TO HD HO GAI PKSH-VIPKSH ME TO DONO EK-DUSRE PR AAROP LGANE ME LGE HUY HAI. DONO SAREAAM JANTA KE SAMNE  HR KUCHH BOLTE RAHTE HAI, JINME SE TO RAHUL GHANDHI JI AUR ANAY EK-DUSRE KO CHOR-CHOR BOLTE RAHTE HAI.
HAMARE BHART KE MANTRI BOLTE SAMAY YH BHI DHYAN NAHI RAKHTE KI BOL KYA RAHE HAI.
             BHART ME HONE WALI YH GHTNAY THIK NAHI HAI. 
BAPUJI MUJHE  SARKAR KI BURAI KARNA PASAND NAHI HAI,YH BHART KI SACHCHAI HAI, HAKIT HAI .AISI BURAIO KO SAMNE LAKAR,INKI HANIYA BATANI CHAHIY TAKI AAGE SE AISI GALTI NA HO. 
                                                               BAPUJI kahte hai, tumne sahi kaha varun. mene apne samay me bhart ko khub chaha hai.bhart ko hmesha mene ek navin sidi pr chadhne ka sapna dekha hai. mene hmesha bhart ki janta ko kaha hai ki ''Rajniti me bhag n lene ki ek sja yh hai ki aap pr aapse kamjor log shashn karne lgte hai''. lekin janta abhi bhi nahi samjh pai,jb tk rajniti me aam inshan ka kadam nahi hoga tb tk janta ke dukh km nahi ho sakte,aam inshan hi janta hai ki bhart me kya samsayay hai, bhart sarkar ko kya krna chahiy,janta ke dukh kon-kon se hai.
                                              aage bapuji kahte hai kiVARUN beta,kya sarkar ne gramo ke vikas me koi yojna bnai hai ya nahi?
   VARUN kahta hai BAPUJI, sarkar ne gramo ke vikas ke liy yojna to bnai hai,lekin yojna tbhi vikshit hoti hai jb un yojnao ki jankari gramo ki janta ko hoti hai.
                                          bhart sarkar ne yojnay to bna di lekin un yojnao ki jankari bhi to janta ko honi chahiy,aur is trah ki jankari n hone se gramik janta in yojnao ko nazarandaj kr deti hai, is tarh yh yojnay sirf shabdik hi rh jati hai.
                                                 bapuji kahte hai ki agar dekha jay to yh prashashn ki jimmedari hai ki, jo yojna sarkar bnati hai to un yojnao ki jankari bhartiy janta ko dena prashashn ka kartavay aur jimmedari dono hai.
                            VARUN kahta hai ki''desh me abhi bhi kai adhik grib log niwas  karte hai ,jinke pas koi sukh sudhay nahi hai.lekin jb sarkar ke samne yh muddhe khade hote hai,to sarkar apne kary ginane me lg jati hai.
          Aaj bhi bachche,bde-budhe ,orte futpath, aur mandir ke bahr bhik mangte Nazar aate hai,kya yh sarkari ka vikas hai?
          Aaj bhi gram ka inshan apne pariwar se dur rahkar sahr me rojgar karta hai aur sham ko thka-hara apne rum pr jata hai aur akele grmi me ,chhote se room me khana bnata hai. Us samay us inshan ke chehre pr sirf garibi aur dukh ki rekha nazar aati hai. Aur apne mn me garibi ka dukh liy huy khoya rahta hai,kya yh sarkar ka vikas hai?
                               aaj bhi logo ke pas khud ka aawas nahi hai,blki garibi ke karn yh log gandi bastiyo me rahne pr majbur ho jate hai,kya yh sarkar ka vikas hai? 
                                               jo garib din-rat mehnat karta hai,use kya milta hai sirf do time ki roti. aur ek trf amir afsar jo air condishnar me bethe rahte hai. sham hote hi fataft office bnd kr dete hai, beech me kai sarkari chhtthiya aa jati hai, unka yh aannand uthate hai. office ka mahina hua, time se sallary lene pahuch jate hai- hatho me kai hazar rupyo ka chek aa jata hai.
                  ek trf pasine ki kimat sirf do time ki roti aur dusari trf aaram jyada aur kam km ki kimat kai hazar rupay.
                                        apne bhart ke savidhan me samanta ka adhikar hai, lekin jo ho raha hai,inhe dekhkar aapko koi samanta nazar aati hai?
                       bapuji ka manna hai ki''jis prakar ek mali hr bagiche ke podhe ki bahut dekhbhal karta hai,samay se khad dalna,sichai karna, kharptwar htana aadi karay karta hai, tb jakar wh bagicha fulo se mahkata hai waha hr ful mali ki mehnat aur pasine se khilta hai, thik usi prakar sarkar ka bhi yahi kartavay hona chahiy ki wh bhart ki janta  ko saman adhikatr de,unhe sath lekar chle , bhartiy gano ko yogay bnakar unka jivan saware tb jakar janta fulo ki trah khilegi aur pura bhart isi janta se ful ki trah mahakta rahega.
                                                               bapuji gantantr ki visheshta btate huy kahte hai ki''me gulam nahi banna chahta lekin me kisi ka malik bhi nahi bnna chahta,mere liy yahi loktantr hai''.
                                                                 bapuji kahte hai ki''ek aisa loktantr jo anushashit ho aur vivekwan ho wh duniya ki sabse sundar vastu hai''.
                       Varun kahta hai ki pradhanmantri shri narendr modi ji ne naw-yuvko ko jine ka ullas aur umang to diya hai,lekin aaj bhi garib janta dukhmay jivan bita rahi hai, aaj bhart desh me berojgari feli hui hai, aaj kai gram avikshit hai. yaha ki janta hr sukh-suvidhao se vanchit hai, jaha aawaso ka kachcha hona , pani ki killat,dhulbhri sadke aadi samsyao ka samna yaha ke inshano karna pdta hai.

Add caption
ek rajy jisko bahut viksit kiya ja raha hai, to dusri trf wh gram jisme nam ki bhi sukh- sudhay nahi hai.aaj bhi west bhart ka hr gram avikshit hai. yaha ki janta ki rahan-sahan,khan-pan,aawas  dekha jay to unme unki sabhaytaya ya sanskrati dikhai nahi deti, blki unki garibi dikhai deti hai. jb sarkar banti hai tb to yaha koi neta nahi aata lekin jb vote aate hai tb yaha hr roj neta aate hai,us samay to janta ka dukh netao ka apna dukh ho jata hai,vote samapt huy,neta fir apna purana rukh apna lete hai aur janta ke sapne sirf kalpna bnkar hi raha jate hai. 
Add caption
Add caption
  janta ko sarkar se kitni ummide hoti hai.
Isliy bapuji mene yh uddeshay bnaya hai ki me khub mehnat karke IAS bnunga aur janta ki hr samshyao ko samapt krunga. bapuji yh mera aapse wada hai.
       IAS bnkar me pahle sharab,tambaku,bidi-sigret aadi nashili chijo pr pratiband lgaunga,kyoki adhiktar garib inshan dukh aur chintao me dube rahte hai,aur apne gm ko dur Karne ke liye mehnat Karne ke bjay shrab jaisi nashili chijo ka Sevan karte hai.
                            Jisse unki aamdni shrab me chli jati hai,aise insan naliyo jaisi gandi jagaho pr pde rahte hai,aur Ghar jakr Gali galoch karte hai,aur pariwar ke saath marpit karte hai.
                        Bapuji ab aap btao ki aise mahol me rahne wale bachcho pr kya asar pdega,bura prabhaw pdega,agar yh bachche future me sharabi bn gay to bhart ka future kaisa hoga,andhkar hoga. Jin pariwaro me sharabi hote hai un pariwaro me hmesha jhagde hote rahte hai, khaskar mahilay Jo ki apne pati ki Mar sahti rahti hai.
                                  Nashile padhart Jo ek SAP ki trh hai Jo hmesha jahar ugalti hai,is sap se sukh ki ummide karna bevkufi hai.
                                            Sarkar ko janta Ki Khushi ke liy,bachcho ke good future ke liy in chijo pr rok lgani chahiy.
              Jb me IAS bnunga tb me yh Kary jarur karuga ,taki inshan chinta aur dukh ke bad sharab nahi pkde blki apne dukho aur chintao ko dur Karne ki soche.
              Bapuji kahte hai ki wah Varun ,tum bahut samajhdar ho. Aage bapuji kahte hai ki beta Varun Mera aashirwad hmesha tumhare saath hai,tumhara yh sapna jarur pura hoga.
             Aage bapuji kahte hai ki varun beta,tum kabhi bhi apne Marg se mt bhtkana kyoki jis raste pr tum chal rahe ho,agar tumne is Marg ko par  kr liya to tumhara sapna jarur Sach hoga.
               Bapuji,Varun ko samjhate huy bolte hai ki''agar jindgi me kuch pana ho to tarike badlo,irade nahi."
                    Aage bolte hai ki"hme hamara lkshay prapt karte waqt sirf do soch rakhni chahiy ki agar Rasta mil gaya to thik,nahi to Rasta me khud bna lunga."
                    Varun beta ,Meri in bato ko hmesha Amal karna. Yh wo mantr hai Jo sirf apni mehnat ke bl pr kaym hai.
                 Ek aakhiri bat"tumhare mokam me Jo pareshanya  aur Jo dikkte aaygi,wo tumhare Marg me kante nahi hai,blki Marg me aane wali wo sidiya hai,jinhe par kr tumhe aage badhna hai."
                                   Varun ke chehare pr muskurat aa jati hai. Varun kahta hai ki bapuji aapki bate sunkar mujhme aur bhi Josh aa gya hai. Aapne Jo mujhe shiksha di hai use me  hmesha yad rakhunga.   Yh Mera aapse wada hai.
                           Yh kahte huy Varun ghdi aur dekhta hai,usi ghadi ki aur dekhte huy Varun ,bapuji ko kahta hai ki sham ke 6p.m ho gay hai. Yh kahte huy varun,bapuji ki aur dekhta hai ki bapuji waha nahi hai.
                  Varun bapuji ko aawaj lgata hai ki tb hi watawarn me ek aawaj ki gunj sama jati hai--HAI RAM.
                             Varun samjh jata hai ki bapuji ja chuke hai. Varun subah jldi uthkar vidhalay ke liy rwana hota hai,tb hi apne room ki diwar pr kuchh likha hua dekhta hai,Varun us diwar ki aur badhta hai,waha likha that ki"agar apni jindgi me apne cariar ko aage bdhane ke liy aapne apna hunar dikhaya hai to kabhi bhi pichhe mudkar Mt dekhna".
                                      Varun yh pdhkr muskurane lg jata hai.uske chehre pr ek chamk aur utsah dikhai deta hai. 
                      Varun kahta hai ki bapuji ab me apne uddeshay SE nahi bhatkunga,kyoki aap mere saath hai.
            Aapka bahut-bahut shukriya
  BAPUJI!
             Yh kahkr Varun apne vidhalay ke liy rwana ho jata hai.""
                 
AAPKO SAMAJH ME AA GYA HOGA KI YH STORY KYA KAHNA CHAHTI.
                             
                                         JAI HIND 
                              JAI BHART 
            

    
                

                                    
                               
                                           

टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

@2022 का युग फिर भी दहेज प्रथा@

@बुढ़ापे का सहारा संताने या बचत??@@